Tuesday, March 16, 2010

Swarveda 1.1.16


Jhooth saanch kaise mile,
antar bhoomi akaash !

Pravirti bhoomi ka khel hai,
Anubhav khel aakash !!

Swarveda 1.1.15


Traigun dharma sambandha mein,
mile na nirgun Naam !

Nirgun nirgun bhakti hai,
chetan chetan dhaam !!

Sunday, March 14, 2010

Swarveda 1.1.14


Brahma-vidya parkaash hai,
bhakti mukti sukhdhaam !

Gaatha yah adhyaatma hai,
amat sanatana Naam !!

Saturday, March 13, 2010

Swarveda 1.1.13


Sab tattvon ka gyaan hai,
param Purush vigyaan !

Sahaj yoga abhyas hai,
dor vihangam jaan !!

Friday, March 12, 2010

Swarveda 1.1.12


Sabka jeevan praan hai,
Sabka ek adhar !

Aj advait anaam hai,
Param Purushkartaar !!